jab jab main zindagi ki pareshaniyon mein tha
jab jab maiñ zindagī kī pareshāniyoñ meñ thā
apnoñ ke bāvajūd bhī tanhā.iyoñ meñ thā
ābādiyoñ ne saare bharam hī miTā diye
is se ziyāda ḳhush to maiñ vīrāniyoñ meñ thā
sāhil pe jo khaḌe the unheñ mauj le ga.ī
maiñ bach gayā kī yaar maiñ tuġhyāniyoñ meñ thā
āsāniyoñ meñ ziist hī be-kaif ho ga.ī
jiine kā asl lutf to dushvāriyoñ meñ thā
kartā bhī kyā kisī se shifā kī koī umiid
saarā kā saarā shahr hī bīmāriyoñ meñ thā
jo sāda-lauh the vo nasīboñ meñ rah ga.e
chālāk jo bhī shaḳhs thā achchhā.iyoñ meñ thā
kuchh aap hī ne ġhaur se Daalī nahīñ nazar
merā bhī naam aap ke shaidā.iyoñ meñ thā
bāteñ to sattā par yuuñ bahut sī huiiñ magar
merā dimāġh jhiil kī gahrā.iyoñ meñ thā
'nāyāb'-bhā.ī ban ke gale jo milā thā kal
us shaḳhs kā shumār bhī dañgā.iyoñ meñ thā
jab jab main zindagi ki pareshaniyon mein tha
apnon ke bawajud bhi tanhaiyon mein tha
aabaadiyon ne sare bharam hi miTa diye
is se ziyaada KHush to main viraniyon mein tha
sahil pe jo khaDe the unhen mauj le gai
main bach gaya ki yar main tughyaniyon mein tha
aasaniyon mein zist hi be-kaif ho gai
jine ka asl lutf to dushwariyon mein tha
karta bhi kya kisi se shifa ki koi umid
sara ka sara shahr hi bimariyon mein tha
jo sada-lauh the wo nasibon mein rah gae
chaalak jo bhi shaKHs tha achchhaiyon mein tha
kuchh aap hi ne ghaur se Dali nahin nazar
mera bhi nam aap ke shaidaiyon mein tha
baaten to satta par yun bahut si huin magar
mera dimagh jhil ki gahraiyon mein tha
'nayab'-bhai ban ke gale jo mila tha kal
us shaKHs ka shumar bhi dangaiyon mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.