jab jab usko yar manana paDta hai
jab jab us ko yaar manānā paḌtā hai
surḳh labāda oḌh ke jaanā paḌtā hai
tum merī sochoñ par qabza rakhte ho
tum se mujh ko 'ishq nibhānā paḌhtā hai
ham jaisoñ ko vahshat tab apnātī hai
ik chaukhaT pe shīsh jhukānā paḌtā hai
vo jab phuul se vajd meñ jā Takrātī hai
phir gulshan ko hosh meñ laanā paḌhtā hai
us laḌkī ke 'sājid' 'sājid' kahne par
ab college bhī vaqt pe jaanā paḌtā hai
jab jab us ko yar manana paDta hai
surKH labaada oDh ke jaana paDta hai
tum meri sochon par qabza rakhte ho
tum se mujh ko 'ishq nibhana paDhta hai
hum jaison ko wahshat tab apnati hai
ek chaukhaT pe shish jhukana paDta hai
wo jab phul se wajd mein ja Takraati hai
phir gulshan ko hosh mein lana paDhta hai
us laDki ke 'sajid' 'sajid' kahne par
ab college bhi waqt pe jaana paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.