jab jhuT rawiyon ke qalam bolne lage
jab jhuuT rāviyoñ ke qalam bolne lage
har ḳhud-sarī ko jāh-o-hasham bolne lage
ik izn-e-lab-kushā.ī ne bebāk kar diyā
dekho kis e'timād se ham bolne lage
koī kisī se pūchh rahā thā tirā surāġh
uTh uTh ke mere naqsh-e-qadam bolne lage
samjhe the āstīn chhupā legī sab gunāh
lekin ġhazab huā ki sanam bolne lage
haq-goī ke mahāz pe manzar badal gayā
ḳhāmosh sab arab haiñ ajam bolne lage
tambīh kī thī dil kī dahan bhī siye magar
maiñ kyā karūñ ki dīda-e-nam bolne lage
māhaul bad-gumān thā tañg aa ke 'tāj' bhī
ḳhāmosh hone vaale the kam bolne lage
jab jhuT rawiyon ke qalam bolne lage
har KHud-sari ko jah-o-hasham bolne lage
ek izn-e-lab-kushai ne bebak kar diya
dekho kis e'timad se hum bolne lage
koi kisi se puchh raha tha tera suragh
uTh uTh ke mere naqsh-e-qadam bolne lage
samjhe the aastin chhupa legi sab gunah
lekin ghazab hua ki sanam bolne lage
haq-goi ke mahaz pe manzar badal gaya
KHamosh sab arab hain ajam bolne lage
tambih ki thi dil ki dahan bhi siye magar
main kya karun ki dida-e-nam bolne lage
mahaul bad-guman tha tang aa ke 'taj' bhi
KHamosh hone wale the kam bolne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.