jab josh-e-bahaaran tha un chandni raaton mein
jab josh-e-bahaaran tha un chandni raaton mein
Qazi Ghulam Mohammad
MORE BYQazi Ghulam Mohammad
jab josh-e-bahārāñ thā un chāñdnī rātoñ meñ
har zarra gulistāñ thā un chāñdnī rātoñ meñ
jab apnī adāoñ se ik zohra-jabīñ paikar
ġhārat-gar-e-īmāñ thā un chāñdnī rātoñ meñ
jannat thī bahut dilkash shādāb nazāroñ kī
har lamha rag-e-jāñ thā un chāñdnī rātoñ meñ
jab sarv kī saf kā vo mehrāb-numā saaya
tasvīr-e-shabistāñ thā un chāñdnī rātoñ meñ
jab phuul sā vo chehra us jān-e-bahārāñ kā
taqdīs kā unvāñ thā un chāñdnī rātoñ meñ
jab vaqt damaktī sī shāḳhoñ pe sanobar kī
ik dīda-e-hairāñ thā un chāñdnī rātoñ meñ
bhīgī huī āñkhoñ kā mauhūm ishārā bhī
ik ḳhuld-badāmāñ thā un chāñdnī rātoñ meñ
e.ajāz-e-mohabbat thā allāh kī rahmat thī
qismat pe maiñ nāzāñ thā un chāñdnī rātoñ meñ
muddat se nahīñ dekhā us husn-e-gulābī ko
shā.ir kā jo mehmāñ thā un chāñdnī rātoñ meñ
jab josh-e-bahaaran tha un chandni raaton mein
har zarra gulistan tha un chandni raaton mein
jab apni adaon se ek zohra-jabin paikar
ghaarat-gar-e-iman tha un chandni raaton mein
jannat thi bahut dilkash shadab nazaron ki
har lamha rag-e-jaan tha un chandni raaton mein
jab sarw ki saf ka wo mehrab-numa saya
taswir-e-shabistan tha un chandni raaton mein
jab phul sa wo chehra us jaan-e-bahaaran ka
taqdis ka unwan tha un chandni raaton mein
jab waqt damakti si shaKHon pe sanobar ki
ek dida-e-hairan tha un chandni raaton mein
bhigi hui aankhon ka mauhum ishaara bhi
ek KHuld-badaman tha un chandni raaton mein
eajaz-e-mohabbat tha allah ki rahmat thi
qismat pe main nazan tha un chandni raaton mein
muddat se nahin dekha us husn-e-gulabi ko
shair ka jo mehman tha un chandni raaton mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.