jab junun aql pe chhae to ghazal kahta hun
jab junūñ aql pe chhā.e to ġhazal kahtā huuñ
hosh jab hosh uḌaa.e to ġhazal kahtā huuñ
un kī yādoñ kā barastā huā sāvan bhādoñ
aag tan-man meñ lagā.e to ġhazal kahtā huuñ
raat ke pichhle pahar dil ke nihāñ-ḳhāne meñ
koī chupke se jo aa.e to ġhazal kahtā huuñ
zahr meñ Duube tire lafzoñ kī jab teġhzanī
kaaT nas nas mirī jaa.e to ġhazal kahtā huuñ
saañs kī lai pe sisaktī huī sargam 'shā.im'
āTHvāñ sur jo uThā.e to ġhazal kahtā huuñ
jab junun aql pe chhae to ghazal kahta hun
hosh jab hosh uDae to ghazal kahta hun
un ki yaadon ka barasta hua sawan bhadon
aag tan-man mein lagae to ghazal kahta hun
raat ke pichhle pahar dil ke nihan-KHane mein
koi chupke se jo aae to ghazal kahta hun
zahr mein Dube tere lafzon ki jab teghzani
kaT nas nas meri jae to ghazal kahta hun
sans ki lai pe sisakti hui sargam 'shaim'
aaTHwan sur jo uThae to ghazal kahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.