jab kabhi apni tamannaon ka gulshan dekha
jab kabhī apnī tamannāoñ kā gulshan dekhā
maiñ ne dil-soz zamāne ko bhī dushman dekhā
apne baare meñ ġhalat-fahmī huī hai jab bhī
maiñ ne har baar purānā koī darpan dekhā
is qadar khoyā huā thā maiñ tirī yādoñ meñ
sahrā dekhā na kabhī raah meñ gulshan dekhā
kaifiyat dil kī bayāñ kartī thiiñ āñkheñ sab kī
maiñ ne har shaḳhs kā bhīgā huā dāman dekhā
dushmanī meñ bhī mohabbat se vo pesh aatā hai
us ke jaisā na koī dost na dushman dekhā
ho gayā us kī maiñ 'azmat kā jahāñ meñ qaa.il
jab kahīñ bhī kisī daanā ko firotan dekhā
terā shaidā.ī huuñ maiñ roz-e-azal se 'sāhil'
zindagī tujh ko har ik daur meñ ahsan dekhā
jab kabhi apni tamannaon ka gulshan dekha
main ne dil-soz zamane ko bhi dushman dekha
apne bare mein ghalat-fahmi hui hai jab bhi
main ne har bar purana koi darpan dekha
is qadar khoya hua tha main teri yaadon mein
sahra dekha na kabhi rah mein gulshan dekha
kaifiyat dil ki bayan karti thin aankhen sab ki
main ne har shaKHs ka bhiga hua daman dekha
dushmani mein bhi mohabbat se wo pesh aata hai
us ke jaisa na koi dost na dushman dekha
ho gaya us ki main 'azmat ka jahan mein qail
jab kahin bhi kisi dana ko firotan dekha
tera shaidai hun main roz-e-azal se 'sahil'
zindagi tujh ko har ek daur mein ahsan dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.