jab kabhi bhi is jahan se ruKHsati mujhko mile
jab kabhi bhi is jahan se ruKHsati mujhko mile
Dipak Prajapati Khaalis
MORE BYDipak Prajapati Khaalis
jab kabhī bhī is jahāñ se ruḳhsatī mujh ko mile
qabl is se ai ḳhudā kuchh zindagī mujh ko mile
maiñ to zinda huuñ añdheroñ par so mujh ko hai ye Dar
mar na jā.ūñ maiñ agar kuchh raushnī mujh ko mile
umr bhar maiñ apne aañsū āb-sūrat pī sakūñ
chāhtā huuñ is tarah kī tishnagī mujh ko mile
ik zarā dekhe se mere nafrateñ ho jaa.eñ ḳhatm
mil sake mujh ko to ye jādūgarī mujh ko mile
jaisā bāhar se ho vaisā hī vo andar se bhī ho
kaash is duniyā meñ aisā aadmī mujh ko mile
kyoñ mirī qismat meñ us ne dard-o-ġham kuchh kam likhe
pūchh lūñgā maiñ ḳhudā se gar kabhī mujh ko mile
jab kabhi bhi is jahan se ruKHsati mujh ko mile
qabl is se ai KHuda kuchh zindagi mujh ko mile
main to zinda hun andheron par so mujh ko hai ye Dar
mar na jaun main agar kuchh raushni mujh ko mile
umr bhar main apne aansu aab-surat pi sakun
chahta hun is tarah ki tishnagi mujh ko mile
ek zara dekhe se mere nafraten ho jaen KHatm
mil sake mujh ko to ye jadugari mujh ko mile
jaisa bahar se ho waisa hi wo andar se bhi ho
kash is duniya mein aisa aadmi mujh ko mile
kyon meri qismat mein us ne dard-o-gham kuchh kam likhe
puchh lunga main KHuda se gar kabhi mujh ko mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.