jab kabhi dil ne tamannaon ko mehman kiya
jab kabhī dil ne tamannāoñ ko mehmān kiyā
dāman-e-hosh ko vahshat ne garebān kiyā
qatl-gāhoñ se ye aa.ī hai sadā rah-rah kar
kaun hai kis ne yahāñ jiine kā armān kiyā
sajda-e-dil se baḌhāte rahe jin kī qīmat
un butoñ ne hī sanam-ḳhānoñ ko vīrān kiyā
yuuñ to gumnāmī muqaddar meñ likhī thī lekin
azm ne qatra-e-be-nām ko tūfān kiyā
lazzat-e-dard kahāñ DhūñDne jaate 'aḳhtar'
ajnabī ho ke baḌā aap ne ehsān kiyā
jab kabhi dil ne tamannaon ko mehman kiya
daman-e-hosh ko wahshat ne gareban kiya
qatl-gahon se ye aai hai sada rah-rah kar
kaun hai kis ne yahan jine ka arman kiya
sajda-e-dil se baDhate rahe jin ki qimat
un buton ne hi sanam-KHanon ko viran kiya
yun to gumnami muqaddar mein likhi thi lekin
azm ne qatra-e-be-nam ko tufan kiya
lazzat-e-dard kahan DhunDne jate 'aKHtar'
ajnabi ho ke baDa aap ne ehsan kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.