jab kabhi fasl-e-bahaaran ka KHayal aata hai
jab kabhī fasl-e-bahārāñ kā ḳhayāl aatā hai
saath hī chāk-e-garebāñ kā ḳhayāl aatā hai
jab bhī be-sāḳhta zanjīr pa jaatī hai nazar
aap kī zulf-e-pareshāñ kā ḳhayāl aatā hai
yaad aa jaatī hai kashtī kī tabāhī mujh ko
kaañp uThtā huuñ jo tūfāñ kā ḳhayāl aatā hai
ābla-pā.ī kī taklīf kā ehsās nahiñ
zahmat-e-ḳhār-e-muġhīlāñ kā ḳhayāl aatā hai
maiñ tire diin se māyūs nahīñ huuñ lekin
apnī kotāhī-e-dāmāñ kā ḳhayāl aatā hai
mujh ko ma.alūm haiñ sab gardish-e-daurāñ ke hudūd
kyoñ mujhe gardish-e-daurāñ kā ḳhayāl aatā hai
dard nā-qābil-e-darmāñ sahī lekin ai dost
dard uThtā hai to darmāñ kā ḳhayāl aatā hai
merā honā bhī na hone ke barābar hai 'sa.īd'
kis ko ik be-sar-o-sāmāñ kā ḳhayāl aatā hai
jab kabhi fasl-e-bahaaran ka KHayal aata hai
sath hi chaak-e-gareban ka KHayal aata hai
jab bhi be-saKHta zanjir pa jati hai nazar
aap ki zulf-e-pareshan ka KHayal aata hai
yaad aa jati hai kashti ki tabahi mujh ko
kanp uThta hun jo tufan ka KHayal aata hai
aabla-pai ki taklif ka ehsas nahin
zahmat-e-KHar-e-mughilan ka KHayal aata hai
main tere din se mayus nahin hun lekin
apni kotahi-e-daman ka KHayal aata hai
mujh ko malum hain sab gardish-e-dauran ke hudud
kyon mujhe gardish-e-dauran ka KHayal aata hai
dard na-qabil-e-darman sahi lekin ai dost
dard uThta hai to darman ka KHayal aata hai
mera hona bhi na hone ke barabar hai 'said'
kis ko ek be-sar-o-saman ka KHayal aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.