jab kabhi husn ki pakiza kahani likhna
jab kabhī husn kī pākīza kahānī likhnā
shyām ke ishq meñ miirā ko divānī likhnā
tum kisī phuul ko murjhāte hue dekhnā jab
us ghaḌī baiTh ke anjām-e-javānī likhnā
zindagī jis ke tasavvur se sañvar jaatī hai
mere hisse meñ vahī shaam suhānī likhnā
apne maqsad ke liye ahl-e-siyāsat ne yahāñ
kis tarah khoī buzurgoñ kī nishānī likhnā
is bahāne se utar jā.egā ye dil kā bojh
apnā har qissa-e-ġham apnī zabānī likhnā
zikr jab bhī chhiḌe tahzīb kā duniyā meñ 'anā'
is qalam se koī tārīḳh purānī likhnā
jab kabhi husn ki pakiza kahani likhna
shyam ke ishq mein mera ko diwani likhna
tum kisi phul ko murjhate hue dekhna jab
us ghaDi baiTh ke anjam-e-jawani likhna
zindagi jis ke tasawwur se sanwar jati hai
mere hisse mein wahi sham suhani likhna
apne maqsad ke liye ahl-e-siyasat ne yahan
kis tarah khoi buzurgon ki nishani likhna
is bahane se utar jaega ye dil ka bojh
apna har qissa-e-gham apni zabani likhna
zikr jab bhi chhiDe tahzib ka duniya mein 'ana'
is qalam se koi tariKH purani likhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.