jab kabhi qafila-e-abr rawan hota hai
jab kabhī qāfila-e-abr ravāñ hotā hai
shāḳh-dar-shāḳh ik ehsās javāñ hotā hai
bū-e-gul mauj-e-sabā se ye kahe hai dekho
kaun ab ham-safar-e-umr-e-ravāñ hotā hai
ye tasavvur jo sahārā hai mire jiine kā
ye tasavvur bhī kisī vaqt garāñ hotā hai
din rahe chāhe pighalne lage sūraj se badan
raat par to kisī qātil kā gumāñ hotā hai
kitne lamhe haiñ jo be-chehra chale jaate haiñ
sochne vaale ko ehsās kahāñ hotā hai
koī āñdhī ki bujhā de ye charāġhoñ kī qatār
zehn meñ jalte haiñ aur ghar meñ dhuāñ hotā hai
ab na lahje meñ vo garmī na vo āñkhoñ meñ chamak
koī aise meñ bhalā dushman-e-jāñ hotā hai
jab kabhi qafila-e-abr rawan hota hai
shaKH-dar-shaKH ek ehsas jawan hota hai
bu-e-gul mauj-e-saba se ye kahe hai dekho
kaun ab ham-safar-e-umr-e-rawan hota hai
ye tasawwur jo sahaara hai mere jine ka
ye tasawwur bhi kisi waqt garan hota hai
din rahe chahe pighalne lage suraj se badan
raat par to kisi qatil ka guman hota hai
kitne lamhe hain jo be-chehra chale jate hain
sochne wale ko ehsas kahan hota hai
koi aandhi ki bujha de ye charaghon ki qatar
zehn mein jalte hain aur ghar mein dhuan hota hai
ab na lahje mein wo garmi na wo aankhon mein chamak
koi aise mein bhala dushman-e-jaan hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.