jab kabhi rasm-o-rah-e-‘am sada deti hai
jab kabhī rasm-o-rah-e-‘ām sadā detī hai
dil ko kyā kyā havas-e-nām sadā detī hai
mash.aleñ apnī sa.mbhālo ki fazā.eñ chamkeñ
itnī jaatī huī har shaam sadā detī hai
kyā zamāne meñ koī sāhib-e-dānish na rahā
zindagī ham ko bahar-gām sadā detī hai
hai yahī vaqt ki qadmoñ ko ham-āhang karo
phir kahāñ gardish-e-ayyām sadā detī hai
zā.icha mere ḳhayāloñ kā judā sab se alag
kis ko ham-peshgī-e-‘ām sadā detī hai
parda-e-sang nahīñ parda-e-iz.hār-e-jamāl
rūh-e-ḳhvābīda-e-asnām sadā detī hai
ik yaqīñ aur pas-e-marg yaqīñ ubhregā
har shikast-e-dil-e-nākām sadā detī hai
har gumāñ-zād dhuñdalke se guzar jaao 'urūj'
raushnī sī vo lab-e-bām sadā detī hai
jab kabhi rasm-o-rah-e-‘am sada deti hai
dil ko kya kya hawas-e-nam sada deti hai
mashalen apni sambhaalo ki fazaen chamken
itni jati hui har sham sada deti hai
kya zamane mein koi sahib-e-danish na raha
zindagi hum ko bahar-gam sada deti hai
hai yahi waqt ki qadmon ko ham-ahang karo
phir kahan gardish-e-ayyam sada deti hai
zaicha mere KHayalon ka juda sab se alag
kis ko ham-peshgi-e-‘am sada deti hai
parda-e-sang nahin parda-e-izhaar-e-jamal
ruh-e-KHwabida-e-asnam sada deti hai
ek yaqin aur pas-e-marg yaqin ubhrega
har shikast-e-dil-e-nakaam sada deti hai
har guman-zad dhundalke se guzar jao 'uruj'
raushni si wo lab-e-baam sada deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.