jab kabhi tark-e-gham-e-dil ka sawal aata hai
jab kabhī tark-e-ġham-e-dil kā savāl aatā hai
ret par naam thā merā bhī ḳhayāl aatā hai
mauj-e-tūfān uThī bah chale ḳhvāboñ ke sadaf
phir baraste hue bādal pe zavāl aatā hai
ab mire ḳhvāb ke hamrāh vahī yādeñ haiñ
jin ko ma.alūm na thā shīshe meñ baal aatā hai
jab simaT aayā hai ḳhud jism hī peshānī par
kyoñ dar-e-dil pe dabe paañv malāl aatā hai
kyā tirā zehn bhī lamhoñ ke safar meñ hogā
terī bārāt meñ rah rah ke ḳhayāl aatā hai
koī aisā bhī hai jo naqsh-ba-dīvār na ho
ab ye ta.amīr kī rāhoñ meñ savāl aatā hai
ghanTiyāñ vaqt kī bajtī haiñ musalsal 'ummīd'
fāsle kahte haiñ ik aur bhī saal aatā hai
jab kabhi tark-e-gham-e-dil ka sawal aata hai
ret par nam tha mera bhi KHayal aata hai
mauj-e-tufan uThi bah chale KHwabon ke sadaf
phir baraste hue baadal pe zawal aata hai
ab mere KHwab ke hamrah wahi yaaden hain
jin ko malum na tha shishe mein baal aata hai
jab simaT aaya hai KHud jism hi peshani par
kyon dar-e-dil pe dabe panw malal aata hai
kya tera zehn bhi lamhon ke safar mein hoga
teri baraat mein rah rah ke KHayal aata hai
koi aisa bhi hai jo naqsh-ba-diwar na ho
ab ye tamir ki rahon mein sawal aata hai
ghanTiyan waqt ki bajti hain musalsal 'ummid'
fasle kahte hain ek aur bhi sal aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.