jab kabhi tera KHayal aa jaega
jab kabhī terā ḳhayāl aa jā.egā
raushnī har samt phailā jā.egā
ek muddat ho ga.ī tujh ko ga.e
kab tire aane kā dhokā jā.egā
dāstān-e-dil mukammal bhī to ho
phir koī unvān sochā jā.egā
ranjishoñ kī dhuul chehre par na Daal
aa.ine kā aks dhuñdlā jā.egā
karb kā tūfāñ umaD aaya agar
soch kā sūraj bhī gahnā jā.egā
har zabāñ par dāstāñ hogī mirī
har galī meñ terā shohra jā.egā
jab kabhi tera KHayal aa jaega
raushni har samt phaila jaega
ek muddat ho gai tujh ko gae
kab tere aane ka dhoka jaega
dastan-e-dil mukammal bhi to ho
phir koi unwan socha jaega
ranjishon ki dhul chehre par na Dal
aaine ka aks dhundla jaega
karb ka tufan umaD aaya agar
soch ka suraj bhi gahna jaega
har zaban par dastan hogi meri
har gali mein tera shohra jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.