jab kabhi uski yaad aai hai
jab kabhī us kī yaad aa.ī hai
sau bahāreñ jilau meñ laa.ī hai
ho na ho us kī yaad aa.ī hai
umr-e-rafta ko saath laa.ī hai
bāda-e-ishq kā surūr na pūchh
us ne pī kar mujhe pilā.ī hai
kaash mil jaa.e phir gañvāne ko
zindagī ham ne jo gañvā.ī hai
mujh ko ehsās-e-rang-o-bū na huā
yuuñ bhī aksar bahār aa.ī hai
tābish-e-mehr-o-māh hai phīkī
jab se vus.at nazar ne paa.ī hai
tere bandoñ ko kyā huā yā-rab
tujh se da.avā-e-āshnā.ī hai
us se ham dād-ḳhvāh-e-ulfat haiñ
jo faqat mahv-e-ḳhud-numā.ī hai
lāla-o-gul meñ DhūñDhne vaalo
us ne sūrat kabhī dikhā.ī hai
shikva-e-nārasī-o-nākāmī
e'tirāf-e-shikasta-pā.ī hai
jab kabhi us ki yaad aai hai
sau bahaaren jilau mein lai hai
ho na ho us ki yaad aai hai
umr-e-rafta ko sath lai hai
baada-e-ishq ka surur na puchh
us ne pi kar mujhe pilai hai
kash mil jae phir ganwane ko
zindagi hum ne jo ganwai hai
mujh ko ehsas-e-rang-o-bu na hua
yun bhi aksar bahaar aai hai
tabish-e-mehr-o-mah hai phiki
jab se wusat nazar ne pai hai
tere bandon ko kya hua ya-rab
tujh se dawa-e-ashnai hai
us se hum dad-KHwah-e-ulfat hain
jo faqat mahw-e-KHud-numai hai
lala-o-gul mein DhunDhne walo
us ne surat kabhi dikhai hai
shikwa-e-narasi-o-nakaami
e'tiraf-e-shikasta-pai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.