jab kaha maine kuchh hisab to den
jab kahā maiñ ne kuchh hisāb to deñ
kyoñ farishtoñ kī jhuk ga.iiñ āñkheñ
itne ḳhāmosh kyoñ haiñ shahr ke log
kuchh to pūchheñ koī to baat kareñ
ajnabī shahr aur raat kā vaqt
ab sadā deñ bhī ham to kis ko deñ
kaun aatā hai utnī raat ga.e
ab to darvāza uTh ke band kareñ
bahs chāragaroñ se kyā lekin
sirf itnā hai mujh ko jiine deñ
jab kaha main ne kuchh hisab to den
kyon farishton ki jhuk gain aankhen
itne KHamosh kyon hain shahr ke log
kuchh to puchhen koi to baat karen
ajnabi shahr aur raat ka waqt
ab sada den bhi hum to kis ko den
kaun aata hai utni raat gae
ab to darwaza uTh ke band karen
bahs chaaragaron se kya lekin
sirf itna hai mujh ko jine den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.