jab kahin ka bhi nahin chhoDa mujhe
jab kahīñ kā bhī nahīñ chhoḌā mujhe
us ne tab jā ke kahīñ chhoḌā mujhe
terī ḳhātir maiñ ne sab kuchh kho diyā
tū ne phir bhī ham-nashīñ chhoḌā mujhe
boltā huuñ jhuuT apne aap se
dil se to us ne nahīñ chhoḌā mujhe
ham tujhe sab kuchh samajhte the 'shafīq'
tū ne apnā kuchh nahīñ chhoḌā mujhe
jab kahin ka bhi nahin chhoDa mujhe
us ne tab ja ke kahin chhoDa mujhe
teri KHatir main ne sab kuchh kho diya
tu ne phir bhi ham-nashin chhoDa mujhe
bolta hun jhuT apne aap se
dil se to us ne nahin chhoDa mujhe
hum tujhe sab kuchh samajhte the 'shafiq'
tu ne apna kuchh nahin chhoDa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.