jab kali koi muskuraati hai
jab kalī koī muskurātī hai
jaane kyoñ terī yaad aatī hai
sar paTaktī haiñ maujeñ sāhil par
jab mirī naav Dagmagātī hai
tū hai yā terī yaad hai ai dost
koī shai dil ko gudgudātī hai
un se kyā kahiye mudda.ā dil kā
baat kahne se baat jaatī hai
mere sāz-e-hayāt par har dam
maut mīThe suroñ meñ gaatī hai
jab se baḳhshā hai tum ne ġham mujh ko
vus.at-e-qalb baḌhtī jaatī hai
azm-e-mohkam bhī ho agar hamrāh
ḳhair-maqdam ko manzil aatī hai
jo ḳhudī ko buland rakhte haiñ
sar pe duniyā unheñ biThātī hai
is tavaqqo pe jī rahā huuñ 'bahār'
jaise ab aarzū bar aatī hai
jab kali koi muskuraati hai
jaane kyon teri yaad aati hai
sar paTakti hain maujen sahil par
jab meri naw Dagmagati hai
tu hai ya teri yaad hai ai dost
koi shai dil ko gudgudati hai
un se kya kahiye muddaa dil ka
baat kahne se baat jati hai
mere saz-e-hayat par har dam
maut miThe suron mein gati hai
jab se baKHsha hai tum ne gham mujh ko
wusat-e-qalb baDhti jati hai
azm-e-mohkam bhi ho agar hamrah
KHair-maqdam ko manzil aati hai
jo KHudi ko buland rakhte hain
sar pe duniya unhen biThati hai
is tawaqqo pe ji raha hun 'bahaar'
jaise ab aarzu bar aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.