jab karen mujh tere ka KHyal ankhiyan
jab kareñ mujh tire kā ḳhyāl añkhiyāñ
ashk siiñ tar kareñ rumāl añkhiyāñ
chhoḌ ḳhūbāñ kā dekhnā ai dil
laag jāveñgī āj-kāl añkhiyāñ
aaj tujh par nisār karne kuuñ
ashk motī hue haiñ thaal añkhiyāñ
dil phaḌaktā hai bījlī kī juuñ
huī haiñ aaj barshkāl añkhiyāñ
jab chalāve sanam nigah kī teġh
'yakrū' tab tuuñ kar apnī Dhaal añkhiyāñ
jab karen mujh tere ka KHyal ankhiyan
ashk sin tar karen rumal ankhiyan
chhoD KHuban ka dekhna ai dil
lag jawengi aaj-kal ankhiyan
aaj tujh par nisar karne kun
ashk moti hue hain thaal ankhiyan
dil phaDakta hai bijli ki jun
hui hain aaj barshkal ankhiyan
jab chalawe sanam nigah ki tegh
'yakru' tab tun kar apni Dhaal ankhiyan
- Book : diwan-e-yakro (Pg. 46)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.