jab khanDar haweli ke kan mein sada Dali
jab khañDar havelī ke kaan meñ sadā Daalī
us ne to sadāoñ kī gard mujh pe lā Daalī
qāfile se kyā bichhḌe dekh rā.igānī ab
manziloñ pe jaane kī soch bhī gañvā Daalī
ḳhauf kā jo dariyā thā paar kar nahīñ paa.e
ḳhvāhishoñ kī shahzādī bas vahīñ bahā Daalī
tīrgī ke gāloñ par pyaar se diyā bosa
raushnī kī ḳhvāhish thī raushnī banā Daalī
dil ke is ilāqe meñ gulsitāñ kī hājat hai
phuul maiñ banātā huuñ tū banā ke lā Daalī
bad-gumān logoñ ko bolne pe uksāyā
habs ke samundar meñ ya.anī kuchh havā Daalī
muntazir rahe 'shāhid' kuchh bhī ho nahīñ paayā
raat din ke phere meñ zindagī miTā Daalī
jab khanDar haweli ke kan mein sada Dali
us ne to sadaon ki gard mujh pe la Dali
qafile se kya bichhDe dekh raigani ab
manzilon pe jaane ki soch bhi ganwa Dali
KHauf ka jo dariya tha par kar nahin pae
KHwahishon ki shahzadi bas wahin baha Dali
tirgi ke galon par pyar se diya bosa
raushni ki KHwahish thi raushni bana Dali
dil ke is ilaqe mein gulsitan ki hajat hai
phul main banata hun tu bana ke la Dali
bad-guman logon ko bolne pe uksaya
habs ke samundar mein yani kuchh hawa Dali
muntazir rahe 'shahid' kuchh bhi ho nahin paya
raat din ke phere mein zindagi miTa Dali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.