jab KHanjar-e-qatil se na inkar hua chup
jab ḳhanjar-e-qātil se na inkār huā chup
āḳhir mire hāthoñ kā talabgār huā chup
shamshīr-e-qalam maut ke bāzār se guzrā
tārīḳh batā.e kahāñ kirdār huā chup
ye dekh ke maidāñ meñ pareshāñ hai sitamgar
maqtūl nahīñ ḳhanjar-e-ḳhūñ-ḳhvār huā chup
us ishq-e-haqīqī kī duā māñgiye bhaa.ī
jo nok-e-sināñ par na sar-e-dār huā chup
kī mimbar-e-lab se jo tabassum meñ ḳhitābat
sajde meñ gire tiir kamāñ-dār huā chup
āñkheñ na huiiñ band kabhī dast-e-ajal se
ye baat alag tālib-e-dīdār huā chup
sayyād ko niiñd aa.e ye mumkin hī kahāñ thā
beḌī na kabhī tauq-e-girāñ-bār huā chup
jab us kā savāl aa gayā tanqīd kī zad meñ
sakte meñ ġhurūr aa gayā darbār huā chup
ma.alūm na thī us ko mire ashkoñ kī nisbat
qīmat jo batā.ī to ḳharīdār huā chup
ashkoñ se kiyā mātam-e-mazlūm sar-e-ām
be-nutq bhī ho kar na azādār huā chup
jab KHanjar-e-qatil se na inkar hua chup
aaKHir mere hathon ka talabgar hua chup
shamshir-e-qalam maut ke bazar se guzra
tariKH batae kahan kirdar hua chup
ye dekh ke maidan mein pareshan hai sitamgar
maqtul nahin KHanjar-e-KHun-KHwar hua chup
us ishq-e-haqiqi ki dua mangiye bhai
jo nok-e-sinan par na sar-e-dar hua chup
ki mimbar-e-lab se jo tabassum mein KHitabat
sajde mein gire tir kaman-dar hua chup
aankhen na huin band kabhi dast-e-ajal se
ye baat alag talib-e-didar hua chup
sayyaad ko nind aae ye mumkin hi kahan tha
beDi na kabhi tauq-e-giran-bar hua chup
jab us ka sawal aa gaya tanqid ki zad mein
sakte mein ghurur aa gaya darbar hua chup
malum na thi us ko mere ashkon ki nisbat
qimat jo batai to KHaridar hua chup
ashkon se kiya matam-e-mazlum sar-e-am
be-nutq bhi ho kar na azadar hua chup
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.