jab KHayal-e-girya-e-paiham hua
jab ḳhayāl-e-girya-e-paiham huā
apne dil kā aur hī aalam huā
vo nahīñ sunte hamāre dil kī baat
shauq-e-arz-e-mudda.ā ab kam huā
jaan nazr-e-āriz-e-tābāñ huī
dil asīr-e-gesu-e-pur-ḳham huā
ashk gir kar dāman-e-mahbūb par
iftiḳhār-e-dīda-e-pur-nam huā
raat guzrī aa ga.ī sub.h-e-firāq
aish kā sāmān ab barham huā
chārāgar mauqa taġhāful kā nahīñ
zaḳhm-e-dil ab qābil-e-marham huā
mere dil kī laash uTThī shaan se
hasratoñ kā dhuum se mātam huā
ban gayā ka.aba vahī dil ke liye
jis jagah sar apnā 'hāmid' ḳham huā
jab KHayal-e-girya-e-paiham hua
apne dil ka aur hi aalam hua
wo nahin sunte hamare dil ki baat
shauq-e-arz-e-muddaa ab kam hua
jaan nazr-e-ariz-e-taban hui
dil asir-e-gesu-e-pur-KHam hua
ashk gir kar daman-e-mahbub par
iftiKHar-e-dida-e-pur-nam hua
raat guzri aa gai subh-e-firaq
aish ka saman ab barham hua
chaaragar mauqa taghaful ka nahin
zaKHm-e-dil ab qabil-e-marham hua
mere dil ki lash uTThi shan se
hasraton ka dhum se matam hua
ban gaya kaba wahi dil ke liye
jis jagah sar apna 'hamid' KHam hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.