jab KHayalon mein tumhein pas biThaun aksar
jab ḳhayāloñ meñ tumheñ paas biThā.ūñ aksar
miir ke sher hoñ lab par unheñ gā.ūñ aksar
dafn kar ke sabhī va.adoñ ko jahāñ bichhḌe the
vo shajar dekhne jaatī huuñ maiñ gaañv aksar
maiñ gilā kaise karūñ tum ne mujhe rauñdā hai
apne saa.e pe bhī aa jaatā hai paañv aksar
jab tire ba.ad tirā hijr satā.e mujh ko
tujh ko maiñ yaad karūñ bhuul bhī jā.ūñ aksar
kaisā rishta hai mirā tum se mujhe ilm nahīñ
tum agar rūTho to maiñ ḳhud ko manā.ūñ aksar
merā da.avā hai tujhe chhoḌ diyā hai maiñ ne
phir tirā zikr hī kyuuñ sheroñ meñ lā.ūñ aksar
'āfiya' aa.ina dekhā hī nahīñ muddat se
ḳhud se maiñ ba.ad tire aañkh churā.ūñ aksar
jab KHayalon mein tumhein pas biThaun aksar
mir ke sher hon lab par unhen gaun aksar
dafn kar ke sabhi wadon ko jahan bichhDe the
wo shajar dekhne jati hun main ganw aksar
main gila kaise karun tum ne mujhe raunda hai
apne sae pe bhi aa jata hai panw aksar
jab tere baad tera hijr satae mujh ko
tujh ko main yaad karun bhul bhi jaun aksar
kaisa rishta hai mera tum se mujhe ilm nahin
tum agar ruTho to main KHud ko manaun aksar
mera dawa hai tujhe chhoD diya hai main ne
phir tera zikr hi kyun sheron mein laun aksar
'afiya' aaina dekha hi nahin muddat se
KHud se main baad tere aankh churaun aksar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.