jab KHizan aai chaman mein sab dagha dene lage
jab ḳhizāñ aa.ī chaman meñ sab daġhā dene lage
tinke uḌā uḌ kar nasheman kā pata dene lage
jab mirī gustāḳhiyoñ kī vo sazā dene lage
vasl kī shab lāt-ghūñsa bhī mazā dene lage
māñjh kar vo dāñtoñ ko jab muskurā dene lage
chhoTī moTī saiñkaḌoñ bijlī girā dene lage
qatl karne ke bajā.e ye sazā dene lage
khod kar gaDDhā mujhe zinda dabā dene lage
be-tahāsha qabr par kisle bajā dene lage
merī miTTī ko Thikāne se lagā dene lage
un ke ik thappaḌ se jab maiñ dam churā kar paḌ gayā
aise ghabrā.e ki dāman se havā dene lage
aap to māñgā kareñ the mere marne kī duā
ab lagā marne to jiine kī duā dene lage
kaisā āshiq aap to mujh ko samajhte haiñ qulī
har jagah hāthoñ meñ mere bistara dene lage
ho gayā majbūr maiñ bhī aur dil-e-nākām bhī
vasl kī shab jab ḳhudā kā vāsta dene lage
kam nahīñ hai torpedo se tire tīr-e-nazar
chhed kar dil aag siine meñ lagā dene lage
mahramoñ se aap ke joban kā uqda khul gayā
aap kī uThtī javānī kā pata dene lage
'būm' honā chāhiye bazm-e-suḳhan meñ vo kalām
dost kyā dushman sadā-e-marhabā dene lage
jab KHizan aai chaman mein sab dagha dene lage
tinke uDa uD kar nasheman ka pata dene lage
jab meri gustaKHiyon ki wo saza dene lage
wasl ki shab lat-ghunsa bhi maza dene lage
manjh kar wo danton ko jab muskura dene lage
chhoTi moTi sainkaDon bijli gira dene lage
qatl karne ke bajae ye saza dene lage
khod kar gaDDha mujhe zinda daba dene lage
be-tahasha qabr par kisle baja dene lage
meri miTTi ko Thikane se laga dene lage
un ke ek thappaD se jab main dam chura kar paD gaya
aise ghabrae ki daman se hawa dene lage
aap to manga karen the mere marne ki dua
ab laga marne to jine ki dua dene lage
kaisa aashiq aap to mujh ko samajhte hain quli
har jagah hathon mein mere bistara dene lage
ho gaya majbur main bhi aur dil-e-nakaam bhi
wasl ki shab jab KHuda ka wasta dene lage
kam nahin hai torpedo se tere tir-e-nazar
chhed kar dil aag sine mein laga dene lage
mahramon se aap ke joban ka uqda khul gaya
aap ki uThti jawani ka pata dene lage
'bum' hona chahiye bazm-e-suKHan mein wo kalam
dost kya dushman sada-e-marhaba dene lage
- Intikhab-e-Kalam-e-Boom
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.