jab KHizan ke chehre pile ho gae
jab ḳhizāñ ke chehre piile ho ga.e
baaġh ke sab phal rasīle ho ga.e
zikr terā jab chhiḌā jān-e-suḳhan
talḳh lahje bhī surīle ho ga.e
jab chaḌhī us par javānī kī parat
zāviye us ke kaTīle ho ga.e
terī furqat ne ghulā kar rakh diyā
mere sab malbūs Dhīle ho ga.e
'mīr' kā dīvān ghar meñ kyā rakhā
bām-o-dar ashkoñ se giile ho ga.e
chand zarre bad-gumānī ke the jo
nafratoñ ke ab vo Tiile ho ga.e
fāsle jo the hamāre darmiyāñ
qurbatoñ ke ab vasīle ho ga.e
ham ne jo āsāniyoñ ke gul chune
ḳhaar se baḌh kar nukīle ho ga.e
jab KHizan ke chehre pile ho gae
bagh ke sab phal rasile ho gae
zikr tera jab chhiDa jaan-e-suKHan
talKH lahje bhi surile ho gae
jab chaDhi us par jawani ki parat
zawiye us ke kaTile ho gae
teri furqat ne ghula kar rakh diya
mere sab malbus Dhile ho gae
'mir' ka diwan ghar mein kya rakha
baam-o-dar ashkon se gile ho gae
chand zarre bad-gumani ke the jo
nafraton ke ab wo Tile ho gae
fasle jo the hamare darmiyan
qurbaton ke ab wasile ho gae
hum ne jo aasaniyon ke gul chune
KHar se baDh kar nukile ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.