jab KHud taDap ke wo meri bahon mein aa gae
jab ḳhud taḌap ke vo mirī bāhoñ meñ aa ga.e
sab valvale simaT ke nigāhoñ meñ aa ga.e
baḌhtī ga.iiñ zamāne kī jab sard-mehriyāñ
dil khiñch ke ḳhud ġhamoñ kī panāhoñ meñ aa ga.e
dil phuñk rahā hai siine meñ din-rāt ai ḳhudā
sho.ale kahāñ se ye mirī aahoñ meñ aa ga.e
jitnī bhī shikneñ paḌtī ga.iiñ farq-e-nāz par
itne hī ḳham niyāz kī rāhoñ meñ aa ga.e
kuchh sūjhtā nahīñ hai mujhe ab sivā.e ġham
jab se ki aap merī nigāhoñ meñ aa ga.e
'sāhir' savāb meñ ho kashish kis liye ki jab
saare maze simaT ke gunāhoñ meñ aa ga.e
jab KHud taDap ke wo meri bahon mein aa gae
sab walwale simaT ke nigahon mein aa gae
baDhti gain zamane ki jab sard-mehriyan
dil khinch ke KHud ghamon ki panahon mein aa gae
dil phunk raha hai sine mein din-raat ai KHuda
shoale kahan se ye meri aahon mein aa gae
jitni bhi shiknen paDti gain farq-e-naz par
itne hi KHam niyaz ki rahon mein aa gae
kuchh sujhta nahin hai mujhe ab siwae gham
jab se ki aap meri nigahon mein aa gae
'sahir' sawab mein ho kashish kis liye ki jab
sare maze simaT ke gunahon mein aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.