jab khula baadban hathon mein
jab khulā bādbān hāthoñ meñ
aa gayā āsmān hāthoñ meñ
sho.ala thā vo gulāb thā kyā thā
paḌ ga.e haiñ nishān hāthoñ meñ
girte jaate haiñ phuul bistar par
khultā jaatā hai thaan hāthoñ meñ
us ne hāthoñ pe hoñT kyā rakkhe
aa ga.ī saarī jaan hāthoñ meñ
phuul kyā kyā khilātī jaatī hai
koī shāḳh-e-gumān hāthoñ meñ
vahī rasta vahī havā 'qaisar'
aur vahī sham.a-dān hāthoñ meñ
jab khula baadban hathon mein
aa gaya aasman hathon mein
shoala tha wo gulab tha kya tha
paD gae hain nishan hathon mein
girte jate hain phul bistar par
khulta jata hai than hathon mein
us ne hathon pe honT kya rakkhe
aa gai sari jaan hathon mein
phul kya kya khilati jati hai
koi shaKH-e-guman hathon mein
wahi rasta wahi hawa 'qaisar'
aur wahi shama-dan hathon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.