jab KHwahish-e-duniya se koi kaam nahin hai
jab ḳhvāhish-e-duniyā se koī kaam nahīñ hai
kyuuñ phir dil-e-shorīda ko ārām nahīñ hai
shāmil yahāñ isbāt meñ pahlū-e-nafī hai
kāmil kisī āġhāz kā anjām nahīñ hai
vo dhuup hai āñkhoñ meñ ki jal jaatī hai har shaam
manzar hai dhuāñ koī lab-e-bām nahīñ hai
kyā tarz-e-rifāqat hai ki milte haiñ ba-sad-shauq
par zikr-e-shanāsā.ī-o-paiġhām nahīñ hai
tañg-zarfī-e-hayyat jise kahte haiñ ġhazal kī
āfāq-e-ma.ānī hai vo ib.hām nahīñ hai
jab KHwahish-e-duniya se koi kaam nahin hai
kyun phir dil-e-shorida ko aaram nahin hai
shamil yahan isbaat mein pahlu-e-nafi hai
kaamil kisi aaghaz ka anjam nahin hai
wo dhup hai aankhon mein ki jal jati hai har sham
manzar hai dhuan koi lab-e-baam nahin hai
kya tarz-e-rifaqat hai ki milte hain ba-sad-shauq
par zikr-e-shanasai-o-paigham nahin hai
tang-zarfi-e-hayyat jise kahte hain ghazal ki
aafaq-e-maani hai wo ibham nahin hai
- Book : Simati Dhoop (Pg. 28)
- Author : Rifat Shamim's
- Publication : Qalam Publications (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.