jab-ki furqat mein maut aati hai
jab-ki furqat mein maut aati hai
Meer Muzaffar Husain Zameer
MORE BYMeer Muzaffar Husain Zameer
jab-ki furqat meñ maut aatī hai
hasrat-e-vasl saath jaatī hai
kyoñ sabā qabr-e-be-kasāñ pa kabhī
nahīñ do phuul bhī chaḌhātī hai
bhuul jaatī hai qabr kī zulmat
yaad zulf-e-siyah jo aatī hai
jo tirā ġham hamesha khātā thā
ab use ḳhāk-e-gor khātī hai
kaun is ḳhaak par ḳhirāmāñ hai
ruuh phūle nahīñ samātī hai
yahāñ naqsha bigaḌ gayā apnā
vo parī aap ko banātī hai
na charāġhāñ ho qabr par to kyā
be-kasī to jigar jalātī hai
jā ke kar do qadam to istiqbāl
tere kushta kī laash aatī hai
na pidar ko ḳhabar na mādar ko
be-kasī kyā maze dikhātī hai
jab-ki furqat mein maut aati hai
hasrat-e-wasl sath jati hai
kyon saba qabr-e-be-kasan pa kabhi
nahin do phul bhi chaDhati hai
bhul jati hai qabr ki zulmat
yaad zulf-e-siyah jo aati hai
jo tera gham hamesha khata tha
ab use KHak-e-gor khati hai
kaun is KHak par KHiraman hai
ruh phule nahin samati hai
yahan naqsha bigaD gaya apna
wo pari aap ko banati hai
na charaghan ho qabr par to kya
be-kasi to jigar jalati hai
ja ke kar do qadam to istiqbaal
tere kushta ki lash aati hai
na pidar ko KHabar na madar ko
be-kasi kya maze dikhati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.