jab ki zulf uski gale kha bal paDi
jab ki zulf us kī gale khā bal paḌī
lashkar-e-ushshāq meñ halchal paḌī
chitvanoñ nīche kise aañkh aap kī
taktī hai palkoñ ke yuuñ ojhal paḌī
aah kaalī raat hijrāñ kī phañsī
kartī hai kākul hī meñ kal kal paḌī
kal jo mad.h o zam thī sāñch aur jhuuT kī
vo phabī ham par ye tum par Dhal paḌī
sho.ala-ḳhūī soch terī aaj tak
paktī hai chhātī mirī khal khal paḌī
aah bas siine meñ vo rusvā na kar
sham.a-sāñ fānūs meñ ab jal paḌī
dostī us ne jo mujh se garm kī
dushmanoñ ko 'azfarī' kuchh jhal paḌī
jab ki zulf us ki gale kha bal paDi
lashkar-e-ushshaq mein halchal paDi
chitwanon niche kise aankh aap ki
takti hai palkon ke yun ojhal paDi
aah kali raat hijran ki phansi
karti hai kakul hi mein kal kal paDi
kal jo madh o zam thi sanch aur jhuT ki
wo phabi hum par ye tum par Dhal paDi
shoala-KHui soch teri aaj tak
pakti hai chhati meri khal khal paDi
aah bas sine mein wo ruswa na kar
shama-san fanus mein ab jal paDi
dosti us ne jo mujh se garm ki
dushmanon ko 'azfari' kuchh jhal paDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.