jab ki nazar talash fareb-e-nazar mila
jab kī nazar talāsh fareb-e-nazar milā
dād-e-hunar ke naam pe zaḳhm-e-hunar milā
ḳhud apne sar pe apnī salībeñ uThā chalo
āvārgān-e-shahr ko kār-e-digar milā
in.aam qad kī nash-o-numā se mukar gayā
dastār to milī hai magar kis ko sar milā
tum mil sake na tark-e-ta.alluq ke ba.ad phir
yādoñ kā ik hujūm mujhe umr bhar milā
mere dil-e-tabāh ne sau sau jatan kiye
jo nusḳha-vafā bhī milā be-asar milā
tum jis qadar ġhurūr se nashsha-ba-sar mile
haañ itne hī ḳhulūs se maiñ sar-ba-sar milā
jab ki nazar talash fareb-e-nazar mila
dad-e-hunar ke nam pe zaKHm-e-hunar mila
KHud apne sar pe apni saliben uTha chalo
aawargan-e-shahr ko kar-e-digar mila
inam qad ki nash-o-numa se mukar gaya
dastar to mili hai magar kis ko sar mila
tum mil sake na tark-e-talluq ke baad phir
yaadon ka ek hujum mujhe umr bhar mila
mere dil-e-tabah ne sau sau jatan kiye
jo nusKHa-wafa bhi mila be-asar mila
tum jis qadar ghurur se nashsha-ba-sar mile
han itne hi KHulus se main sar-ba-sar mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.