jab kisi ka KHayal aata hai
jab kisī kā ḳhayāl aatā hai
dil meñ ġham kā ubaal aatā hai
yūñhī furqat meñ umr guzregī
kab payām-e-visāl aatā hai
aap bātoñ meñ Taal dete haiñ
vasl kā jab savāl aatā hai
kal jise bazm se nikālā thā
phir vahī ḳhasta-hāl aatā hai
phīkā phīkā hai chāñd gardūñ par
kaun rashk-e-hilāl aatā hai
haa.e us but ne bevafā.ī kī
sirf itnā ḳhayāl aatā hai
dil-lagī ke sivā tujhe 'hājir'
aur bhī kuchh kamāl aatā hai
jab kisi ka KHayal aata hai
dil mein gham ka ubaal aata hai
yunhi furqat mein umr guzregi
kab payam-e-visal aata hai
aap baaton mein Tal dete hain
wasl ka jab sawal aata hai
kal jise bazm se nikala tha
phir wahi KHasta-haal aata hai
phika phika hai chand gardun par
kaun rashk-e-hilal aata hai
hae us but ne bewafai ki
sirf itna KHayal aata hai
dil-lagi ke siwa tujhe 'hajir'
aur bhi kuchh kamal aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.