jab kisi ko manana paDta hai
jab kisī ko manānā paḌtā hai
apnā sab kuchh gañvānā paḌtā hai
qais kaise koī bhī kahlā.e
dasht meñ ḳhaak uḌānā paḌtā hai
ḳhvāb dafnāne paḌte haiñ apne
ḳhud se jab ghar chalānā paḌtā hai
kal ko behtar banāne ke liye ab
apnā maazī bhulānā paḌtā hai
chīḳhtī hai ḳhamoshī jab andar
shor bāhar machānā paḌtā hai
yūñhī rahgīr kaun kahlā.e
rah se patthar haTānā paḌtā hai
koī hamdard bhī nahīñ ḳhud hī
bojh ġham kā uThānā paḌtā hai
jab 'ibādat kī baat ho 'rāzī'
sar vafā meñ jhukānā paḌtā hai
jab kisi ko manana paDta hai
apna sab kuchh ganwana paDta hai
qais kaise koi bhi kahlae
dasht mein KHak uDana paDta hai
KHwab dafnane paDte hain apne
KHud se jab ghar chalana paDta hai
kal ko behtar banane ke liye ab
apna mazi bhulana paDta hai
chiKHti hai KHamoshi jab andar
shor bahar machana paDta hai
yunhi rahgir kaun kahlae
rah se patthar haTana paDta hai
koi hamdard bhi nahin KHud hi
bojh gham ka uThana paDta hai
jab 'ibaadat ki baat ho 'raazi'
sar wafa mein jhukana paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.