jab kisi se koi kalam karo
jab kisī se koī kalām karo
sab se pahle use salām karo
dostoñ se gale milo lekin
dushmanoñ kā bhī ehtirām karo
hissa duniyā se bhī na chhoḌo tum
āḳhirat kā bhī intizām karo
apnī apnī zabāneñ band rakho
yuuñ na teġhoñ ko be-niyām karo
jo bhī chīzeñ halāl haiñ tum par
mat ḳhudārā unheñ harām karo
ādamiyyat vafā raham imdād
ye ibādāt sub.h-o-shām karo
bevafā.ī munāfaqat kiina
aisī rasmoñ ko ab tamām karo
jab kisi se koi kalam karo
sab se pahle use salam karo
doston se gale milo lekin
dushmanon ka bhi ehtiram karo
hissa duniya se bhi na chhoDo tum
aaKHirat ka bhi intizam karo
apni apni zabanen band rakho
yun na teghon ko be-niyam karo
jo bhi chizen halal hain tum par
mat KHudara unhen haram karo
aadamiyyat wafa raham imdad
ye ibaadat subh-o-sham karo
bewafai munafaqat kina
aisi rasmon ko ab tamam karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.