jab kisi shaKHs ne zalim ki taraf-dari ki
jab kisī shaḳhs ne zālim kī taraf-dārī kī
ham bhī galiyoñ meñ nikal aa.e azā-dārī kī
tū jo lauT aayā sabhī jaur-o-jafā bhuul ga.e
ham ne tujh yaar ko dekhā tirī dildārī kī
vaqt-e-ruḳhsat tujhe hañste hue muḌ kar dekhā
ham tire hukm ko maane so adākārī kī
ishq to saare mazāhib se miyāñ aage hai
muftī-e-shahr-e-mohabbat ne sanad jaarī kī
asr-e-hāzir ke taqāzoñ ko nibhānā thā 'farah'
so rivāyat se zarā haT ke ġhazal-kārī kī
jab kisi shaKHs ne zalim ki taraf-dari ki
hum bhi galiyon mein nikal aae aza-dari ki
tu jo lauT aaya sabhi jaur-o-jafa bhul gae
hum ne tujh yar ko dekha teri dildari ki
waqt-e-ruKHsat tujhe hanste hue muD kar dekha
hum tere hukm ko mane so adakari ki
ishq to sare mazahib se miyan aage hai
mufti-e-shahr-e-mohabbat ne sanad jari ki
asr-e-hazir ke taqazon ko nibhana tha 'farah'
so riwayat se zara haT ke ghazal-kari ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.