jab kisi yaad ke mandir mein gajar bol paDa
jab kisī yaad ke mandir meñ gajar bol paḌā
ik mo.azzin bhī sar-e-vaqt-e-sahar bol paḌā
dekh kar mere ḳhad-o-ḳhāl ko ik ā.īna
kitnā ḳhāmosh tabī.at thā magar bol paḌā
roz chup-chāp vo raste se guzar jaatā hai
aur maiñ sochtā rahtā huuñ agar bol paḌā
mere aane kī ḳhushī thī ki taġhāful kā gila
ek muddat se jo ḳhāmosh thā dar bol paḌā
phir fazāoñ meñ suḳhan gholne bādal aa.e
phir chalī tez havā aur shajar bol paḌā
jab kisi yaad ke mandir mein gajar bol paDa
ek moazzin bhi sar-e-waqt-e-sahar bol paDa
dekh kar mere KHad-o-KHal ko ek aaina
kitna KHamosh tabiat tha magar bol paDa
roz chup-chap wo raste se guzar jata hai
aur main sochta rahta hun agar bol paDa
mere aane ki KHushi thi ki taghaful ka gila
ek muddat se jo KHamosh tha dar bol paDa
phir fazaon mein suKHan gholne baadal aae
phir chali tez hawa aur shajar bol paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.