jab koi achchha kaam karta hun
jab koī achchhā kaam kartā huuñ
maañ ko pahle salām kartā huuñ
tū agarche na kar mirī tauqīr
maiñ tirā ehtirām kartā huuñ
mujh ko bhī ḳhuub chain miltā hai
maiñ bhī auroñ ke kaam kartā huuñ
hind meñ saiñkaḌoñ mazāhib haiñ
sab kā maiñ ehtirām kartā huuñ
jab koi achchha kaam karta hun
man ko pahle salam karta hun
tu agarche na kar meri tauqir
main tera ehtiram karta hun
mujh ko bhi KHub chain milta hai
main bhi auron ke kaam karta hun
hind mein sainkaDon mazahib hain
sab ka main ehtiram karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.