jab koi lamha KHushi ka humse wabasta hua
jab koī lamha ḳhushī kā ham se vābasta huā
aa gayā ik aur taaza ġham kamar kastā huā
muflisī kī zad meñ aa kar haal jab ḳhasta huā
aadmī duniyā kī nazroñ meñ bahut pasta huā
kis qadar āsān hai jiinā samajh meñ aa gayā
ḳhaar ke pahlū meñ dekhā phuul jab hañstā huā
chand sikkoñ ke liye vo bech detā hai zamīr
vaqt kī manDī meñ insāñ kis qadar sastā huā
āñdhiyoñ kī zad pe thā lekin vo nanhā sā charāġh
zulmatoñ se jang karne ko kamar-basta huā
khet ke paanī kā jhagḌā kitnī jāneñ le gayā
aaj insāñ kā lahū paanī se bhī sastā huā
jab koi lamha KHushi ka hum se wabasta hua
aa gaya ek aur taza gham kamar kasta hua
muflisi ki zad mein aa kar haal jab KHasta hua
aadmi duniya ki nazron mein bahut pasta hua
kis qadar aasan hai jina samajh mein aa gaya
KHar ke pahlu mein dekha phul jab hansta hua
chand sikkon ke liye wo bech deta hai zamir
waqt ki manDi mein insan kis qadar sasta hua
aandhiyon ki zad pe tha lekin wo nanha sa charagh
zulmaton se jang karne ko kamar-basta hua
khet ke pani ka jhagDa kitni jaanen le gaya
aaj insan ka lahu pani se bhi sasta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.