jab koi sach baat chhupani paDti hai
jab koi sach baat chhupani paDti hai
Mashkoor Mamnoon Qannauji
MORE BYMashkoor Mamnoon Qannauji
jab koī sach baat chhupānī paḌtī hai
tab jhūTī ik baat banānī paḌtī hai
andar andar kitne hī ham zaḳhmī hoñ
chehre par muskān sajānī paḌtī hai
e'timād bhī had se ziyāda Thiik nahīñ
kabhī kabhī to muñh kī ḳhānī paḌtī hai
armānoñ kī laash uThā kar kāñdhoñ par
kisī kisī ko umr bitānī paḌtī hai
kabhī kabhī kuchh yaad bhī rakhnā paḌtā hai
kabhī kabhī har baat bhulānī paḌtī hai
ham se hī dahshat-gardī hai aur hameñ
sab se ziyāda jaan gañvānī paḌtī hai
thapkī de kar ham ko to 'mashkūr' yahāñ
terī tamannā roz sulānī paḌtī hai
jab koi sach baat chhupani paDti hai
tab jhuTi ek baat banani paDti hai
andar andar kitne hi hum zaKHmi hon
chehre par muskan sajaani paDti hai
e'timad bhi had se ziyaada Thik nahin
kabhi kabhi to munh ki KHani paDti hai
armanon ki lash uTha kar kandhon par
kisi kisi ko umr bitani paDti hai
kabhi kabhi kuchh yaad bhi rakhna paDta hai
kabhi kabhi har baat bhulani paDti hai
hum se hi dahshat-gardi hai aur hamein
sab se ziyaada jaan ganwani paDti hai
thapki de kar hum ko to 'mashkur' yahan
teri tamanna roz sulani paDti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.