jab koi sina-e-girdab pe ubhra qatra
jab koī sīna-e-girdāb pe ubhrā qatra
yaad aaya dil-e-pur-ḳhūñ ke lahū kā qatra
chaah kar tujh ko bhalā kaise mile merā nishāñ
mil ke sāgar meñ dikhā.ī nahīñ detā qatra
qatre qatre hī kā marhūn hai dariyā kā vajūd
mujh se pūchho to haqīqat meñ hai dariyā qatra
ġham ke dozaḳh meñ ye jal jal ke banā hai kundan
tab kahīñ jā ke mirī aañkh se Tapkā qatra
yuuñ tire naam se rāhat dil-e-muztar ko milī
halq meñ jaise kisī pyāse ke utrā qatra
munhadim kar hī gayā shahr-e-ġharībāñ ke makāñ
barsā hai abr-e-siyah ab ke jo qatra qatra
kis tarah merā adū madd-e-muqābil aa.e
rū-ba-rū 'jān' kahāñ aag ke Thahrā qatra
jab koi sina-e-girdab pe ubhra qatra
yaad aaya dil-e-pur-KHun ke lahu ka qatra
chah kar tujh ko bhala kaise mile mera nishan
mil ke sagar mein dikhai nahin deta qatra
qatre qatre hi ka marhun hai dariya ka wajud
mujh se puchho to haqiqat mein hai dariya qatra
gham ke dozaKH mein ye jal jal ke bana hai kundan
tab kahin ja ke meri aankh se Tapka qatra
yun tere nam se rahat dil-e-muztar ko mili
halq mein jaise kisi pyase ke utra qatra
munhadim kar hi gaya shahr-e-ghariban ke makan
barsa hai abr-e-siyah ab ke jo qatra qatra
kis tarah mera adu madd-e-muqabil aae
ru-ba-ru 'jaan' kahan aag ke Thahra qatra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.