Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab koi Tis dil dukhati hai

Balwan Singh Azar

jab koi Tis dil dukhati hai

Balwan Singh Azar

MORE BYBalwan Singh Azar

    jab koī Tiis dil dukhātī hai

    nabz kuchh der ruk jaatī hai

    aaj āvārgī se kah dūñgā

    ek chaukhaT mujhe bulātī hai

    ghup-añdhere fā.eda le kar

    os phūloñ pe baiTh jaatī hai

    kal talak to varaq uḌte the

    ab havā harf bhī uḌātī hai

    jāgte haiñ sabhī shajar 'āzar'

    dasht meñ kis ko niiñd aatī hai

    jab koi Tis dil dukhati hai

    nabz kuchh der ruk si jati hai

    aaj aawargi se kah dunga

    ek chaukhaT mujhe bulati hai

    ghup-andhere ka faeda le kar

    os phulon pe baiTh jati hai

    kal talak to waraq hi uDte the

    ab hawa harf bhi uDati hai

    jagte hain sabhi shajar 'azar'

    dasht mein kis ko nind aati hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now