jab koi zaKHm mere dil pe naya lagta hai
jab koī zaḳhm mire dil pe nayā lagtā hai
tab mujhe hausla jiine kā harā lagtā hai
ishq ke din the ki nafrat bhī bhalī lagtī thī
ab koī pyaar se dekhe to burā lagtā hai
jaane kyoñ ab maiñ kitābeñ bhī agar paḌhtā huuñ
in meñ bhī tere hī hāthoñ kā likhā lagtā hai
na milā jis ko har ik gaam pe DhūñD aayā maiñ
vo to mujh ko mire andar hī chhupā lagtā hai
maiñ to is shahr meñ jiitā huuñ ki 'irshād' jahāñ
ḳhairiyat pūchhne vaalā bhī Darā lagtā hai
jab koi zaKHm mere dil pe naya lagta hai
tab mujhe hausla jine ka hara lagta hai
ishq ke din the ki nafrat bhi bhali lagti thi
ab koi pyar se dekhe to bura lagta hai
jaane kyon ab main kitaben bhi agar paDhta hun
in mein bhi tere hi hathon ka likha lagta hai
na mila jis ko har ek gam pe DhunD aaya main
wo to mujh ko mere andar hi chhupa lagta hai
main to is shahr mein jita hun ki 'irshad' jahan
KHairiyat puchhne wala bhi Dara lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.