jab laDakpan shabab tak pahuncha
jab laḌakpan shabāb tak pahuñchā
manzil-e-āftāb tak pahuñchā
koī nāseh ko ye ḳhabar kar de
tishna-lab phir sharāb tak pahuñchā
qissa-e-husn-e-dil kī mahfil se
mahfil-e-māhtāb tak pahuñchā
husn taqsīm ho ke jalvoñ meñ
zarroñ se āftāb tak pahuñchā
sitam-e-bāġhbāñ se ghabrā kar
sho.ala-e-dil gulāb tak pahuñchā
ishq meñ aa gayā maqām aisā
har sukūñ iztirāb tak pahuñchā
kārvāñ ġham-zadoñ kā ai aḳhtar
manzil-e-kāmyāb tak pahuñchā
jab laDakpan shabab tak pahuncha
manzil-e-aftab tak pahuncha
koi naseh ko ye KHabar kar de
tishna-lab phir sharab tak pahuncha
qissa-e-husn-e-dil ki mahfil se
mahfil-e-mahtab tak pahuncha
husn taqsim ho ke jalwon mein
zarron se aaftab tak pahuncha
sitam-e-baghban se ghabra kar
shoala-e-dil gulab tak pahuncha
ishq mein aa gaya maqam aisa
har sukun iztirab tak pahuncha
karwan gham-zadon ka ai aKHtar
manzil-e-kaamyab tak pahuncha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.