jab le ke hatheli par hum jaan nikalte hain
jab le ke hathelī par ham jaan nikalte haiñ
zulmat meñ ujāloñ ke imkān nikalte haiñ
phir le ke hisāb-e-dil pachhtānā paḌā us ko
kuchh us pe hamāre hī ehsān nikalte haiñ
ye shahr rahā hogā shā.ista mizājoñ kā
is shahr ke malbe se gul-dān nikalte haiñ
ai ahl-e-nazar tere ḳhutbāt pe bhārī haiñ
dīvāne ke muñh se jo hizyān nikalte haiñ
jab le ke hatheli par hum jaan nikalte hain
zulmat mein ujalon ke imkan nikalte hain
phir le ke hisab-e-dil pachhtana paDa us ko
kuchh us pe hamare hi ehsan nikalte hain
ye shahr raha hoga shaista mizajon ka
is shahr ke malbe se gul-dan nikalte hain
ai ahl-e-nazar tere KHutbaat pe bhaari hain
diwane ke munh se jo hizyan nikalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.