jab likha humne KHat ashkon se hua tar kaghaz
jab likha humne KHat ashkon se hua tar kaghaz
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
MORE BYSyed Yusuf Ali Khan Nazim
jab likhā ham ne ḳhat ashkoñ se huā tar kāġhaz
yuuñ hī har roz talaf hote haiñ aksar kāġhaz
vo paḌheñ bhī to khule kyā mire maktūb kā haal
hai siyah fart-e-nigārish se sarāsar kāġhaz
husn-e-ḳhat se mire itnā mutajjib kyoñ hai
ḳhat likhā hai tirī tasvīr pe rakh kar kāġhaz
ḳhat meñ andoh-e-girāñbāri-e-ġham likhtā huuñ
toḌ Daale na kahīñ bāl-e-kabūtar kāġhaz
jab likha hum ne KHat ashkon se hua tar kaghaz
yun hi har roz talaf hote hain aksar kaghaz
wo paDhen bhi to khule kya mere maktub ka haal
hai siyah fart-e-nigarish se sarasar kaghaz
husn-e-KHat se mere itna mutajjib kyon hai
KHat likha hai teri taswir pe rakh kar kaghaz
KHat mein andoh-e-giranbari-e-gham likhta hun
toD Dale na kahin baal-e-kabutar kaghaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.