jab mai-e-lala-fam hoti hai
jab mai-e-lāla-fām hotī hai
mujh ko tauba harām hotī hai
ḳhūb-rū vo hai jis kī ḳhū achchhī
sham.a sūrat-harām hotī hai
ye sunā hai ki barhaman se bhī
shaiḳh kī raam raam hotī hai
terā va.ada hai kis qayāmat kā
raat din sub.h-o-shām hotī hai
hijr kā din Dhale to ham jāneñ
sub.h ke baa'd shaam hotī hai
pahle ai 'dāġh' kuchh na hosh aaya
dil kī ab rok-thām hotī hai
jab mai-e-lala-fam hoti hai
mujh ko tauba haram hoti hai
KHub-ru wo hai jis ki KHu achchhi
shama surat-haram hoti hai
ye suna hai ki barhaman se bhi
shaiKH ki ram ram hoti hai
tera wada hai kis qayamat ka
raat din subh-o-sham hoti hai
hijr ka din Dhale to hum jaanen
subh ke ba'd sham hoti hai
pahle ai 'dagh' kuchh na hosh aaya
dil ki ab rok-tham hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.