jab majma-e-KHuban hota hai diwane bahut ho jate hain
jab majma-e-KHuban hota hai diwane bahut ho jate hain
Basheeruddin Raaz
MORE BYBasheeruddin Raaz
jab majma.a-e-ḳhūbāñ hotā hai dīvāne bahut ho jaate haiñ
jab sham.a-e-tajallī raushan ho parvāne bahut ho jaate haiñ
parvāne TuuT ke girte haiñ parvāne bahut ho jaate haiñ
jab chāñd gahan se khultā hai dīvāne bahut ho jaate haiñ
kahte hue maiñ kuchh Dartā huuñ rūdād-e-mohabbat ko apnī
duniyā-e-mohabbat meñ aise afsāne bahut ho jaate haiñ
kyoñ husn pe vo maġhrūr na hoñ is husn-e-javānī meñ apnī
dīvānoñ kī parvā kaun kare dīvāne bahut ho jaate haiñ
har samt ghaTā chhā jaatī hai har shai se barastī hai mastī
jab abr-e-karam chhā jaatā hai mastāne bahut ho jaate haiñ
mai-kash ke liye shīsha na sahī sāġhar na sahī miinā na sahī
piine kā irāda jab kar le paimāne bahut ho jaate haiñ
ārā.ish-e-mahfil ho ki na ho sāmān-e-tarab kuchh ho ki na ho
jab sham-e-mohabbat jaltī hai parvāne bahut ho jaate haiñ
jab kaalī ghaTā.eñ chhātī haiñ aur jaam ko gardish hotī hai
piine ke liye maiḳhāne meñ mastāne bahut ho jaate haiñ
ai josh-e-junūñ vo haal batā vo dekh ke vahshī ḳhud hī kaheñ
kahne ke liye to ulfat meñ dīvāne bahut ho jaate haiñ
vo pahlū meñ jis dam hote haiñ ik be-ḳhudī taarī hotī hai
kyā haal kaheñ is haal se ham begāne bahut ho jaate haiñ
ham is kī haqīqat ko ab tak āsān samajhte the lekin
ai 'rāz' ye rāz-e-husn hai kyā dīvāne bahut ho jaate haiñ
jab majma-e-KHuban hota hai diwane bahut ho jate hain
jab shama-e-tajalli raushan ho parwane bahut ho jate hain
parwane TuT ke girte hain parwane bahut ho jate hain
jab chand gahan se khulta hai diwane bahut ho jate hain
kahte hue main kuchh Darta hun rudad-e-mohabbat ko apni
duniya-e-mohabbat mein aise afsane bahut ho jate hain
kyon husn pe wo maghrur na hon is husn-e-jawani mein apni
diwanon ki parwa kaun kare diwane bahut ho jate hain
har samt ghaTa chha jati hai har shai se barasti hai masti
jab abr-e-karam chha jata hai mastane bahut ho jate hain
mai-kash ke liye shisha na sahi saghar na sahi mina na sahi
pine ka irada jab kar le paimane bahut ho jate hain
aaraish-e-mahfil ho ki na ho saman-e-tarab kuchh ho ki na ho
jab sham-e-mohabbat jalti hai parwane bahut ho jate hain
jab kali ghaTaen chhati hain aur jam ko gardish hoti hai
pine ke liye maiKHane mein mastane bahut ho jate hain
ai josh-e-junun wo haal bata wo dekh ke wahshi KHud hi kahen
kahne ke liye to ulfat mein diwane bahut ho jate hain
wo pahlu mein jis dam hote hain ek be-KHudi tari hoti hai
kya haal kahen is haal se hum begane bahut ho jate hain
hum is ki haqiqat ko ab tak aasan samajhte the lekin
ai 'raaz' ye raaz-e-husn hai kya diwane bahut ho jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.