jab manzilon wahm tha na shab ka
jab manziloñ vahm thā na shab kā
maiñ niklā huā huuñ ghar se tab kā
jis shahr meñ bas rahe the ham tum
vo shahr ujaḌ chukā hai kab kā
thī pahle ajab judā.ī un kī
ab ḳhud se firāq hai ġhazab kā
ai mahv-e-tilism-e-roz-e-raushan
darpesh abhī safar hai shab kā
har gul se bhaḌak rahe haiñ sho.ale
ye ahd magar hai bū-lahab kā
tum kaahe ko akaḌ rahe ho tanhā
'shohrat' ye muāmla hai sab kā
jab manzilon wahm tha na shab ka
main nikla hua hun ghar se tab ka
jis shahr mein bas rahe the hum tum
wo shahr ujaD chuka hai kab ka
thi pahle ajab judai un ki
ab KHud se firaq hai ghazab ka
ai mahw-e-tilism-e-roz-e-raushan
darpesh abhi safar hai shab ka
har gul se bhaDak rahe hain shoale
ye ahd magar hai bu-lahab ka
tum kahe ko akaD rahe ho tanha
'shohrat' ye muamla hai sab ka
- Book : shab-e-aaina (Pg. 55)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.