jab mera ghar bahisht si gul-wadiyon mein tha
jab merā ghar bahisht sī gul-vādiyoñ meñ thā
us vaqt maiñ ghirā huā shahzādiyoñ meñ thā
vo din havā hue vo zamāne guzar ga.e
bande kā jab qayām parī-zādiyoñ meñ thā
yak baar jo ujaḌ ga.e baste hue nagar
lagtā hai koī bhuut bhī in vādiyoñ meñ thā
baiThā thā jis pe maiñ ne vahī shāḳh kaaT dī
ḳhud merā haath hī mirī barbādiyoñ meñ thā
sad shukr hai ki mujh pe nigāh-e-karam paḌī
kab se udaas baiThā maiñ fariyādiyoñ meñ thā
apne banā.e jaal meñ ḳhud phañs ke rah gayā
masrūf merā yaar jo ustādiyoñ meñ thā
'hasrat' zarā sī bhuul hameñ qaid kar ga.ī
vo lutf ab kahāñ hai jo āzādiyoñ meñ thā
jab mera ghar bahisht si gul-wadiyon mein tha
us waqt main ghira hua shahzadiyon mein tha
wo din hawa hue wo zamane guzar gae
bande ka jab qayam pari-zadiyon mein tha
yak bar jo ujaD gae baste hue nagar
lagta hai koi bhut bhi in wadiyon mein tha
baiTha tha jis pe main ne wahi shaKH kaT di
KHud mera hath hi meri barbaadiyon mein tha
sad shukr hai ki mujh pe nigah-e-karam paDi
kab se udas baiTha main fariyaadiyon mein tha
apne banae jal mein KHud phans ke rah gaya
masruf mera yar jo ustadiyon mein tha
'hasrat' zara si bhul hamein qaid kar gai
wo lutf ab kahan hai jo aazadiyon mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.