jab meri kahani mein wo kirdar nahin ab
jab merī kahānī meñ vo kirdār nahīñ ab
jā maan liyā pahle sā me.aar nahīñ ab
le tere hī kahne pe tujhe chhoḌ diyā hai
kyoñ aur kahāñ kaise ki takrār nahīñ ab
kuchh shauq na hasrat na tamannā na guzārish
duniyā se mirā koī sarokār nahīñ ab
vahshat bhī tabī.at meñ hai aur josh-e-junūñ bhī
Takrāne ko sar sāmne dīvār nahīñ ab
ab zabt nahīñ baaqī hai dil bhar chukā merā
ye ta.ane ye bigḌī huī guftār nahīñ ab
ab koī bhī da.avā nahīñ kar saktā hai mujh par
duniyā meñ koī bhī merā haqdār nahīñ ab
is dil ko 'siyā' rog lagānā nahīñ achchhā
bas aur udāsī bhare ash.ār nahīñ ab
jab meri kahani mein wo kirdar nahin ab
ja man liya pahle sa mear nahin ab
le tere hi kahne pe tujhe chhoD diya hai
kyon aur kahan kaise ki takrar nahin ab
kuchh shauq na hasrat na tamanna na guzarish
duniya se mera koi sarokar nahin ab
wahshat bhi tabiat mein hai aur josh-e-junun bhi
Takrane ko sar samne diwar nahin ab
ab zabt nahin baqi hai dil bhar chuka mera
ye tane ye bigDi hui guftar nahin ab
ab koi bhi dawa nahin kar sakta hai mujh par
duniya mein koi bhi mera haqdar nahin ab
is dil ko 'siya' rog lagana nahin achchha
bas aur udasi bhare ashaar nahin ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.